Shri Sai Baba ke vishay me aaj tak anek lekhakon ne anek bhashaon mein pustako ka lekhan kiya hai. Sri Sai Baba Sansthan ne Shri Baba ke bhrahmgyan ko spasht karne wali anek pustakein prakashit ki hai parantu param bhakt Shri Anna Saheb Dabholkar urf Hemadpant dwara rachit 'Shri Sai Satcharit' namak marathi chhandatmak granth ko Shri Sai Baba se sambandhit sahitya ka sabse pracheen granth mana jata hai.